18 December 2012 | By: Writing Buddha

Aap hi paida karti hai hum mardon ko... Ek stri hum sub mein bhi basti hai...

748th BLOG POST -->>


Kaise na roya woh jo cheen raha tha aabrooh...
Kaise na usey dard pe rehem aaya.. 
Kaise hai hawainiyat uski justjooo....

Ek aurat cheekhein... kaaran raho tum...
Agar fir bhi ho zinda.. kaise reh rahe ho tum??

Roya na tumhara kaleja.. Dard na mehsus hua tumhe..
Aaj tumhare kiye hue zurm ki saja.. mil rahi hai hamein...

Kal wo mere paas baithey... haath pe haath rakhein baat kiya karti thi...
Kya batayenge aane wali pidhi ko ki kuch saalon baad ladkiyaan hamare saath baithne se bhi darti thi....

Sirf striyaan hi nahi samazti is dard ko....
Aap hi paida karti hai hum mardon ko...
Ek stri hum sub mein bhi basti hai...
Par aaj wo hamesa roti hai.. na jaane kab hasti hai...

Kya kahein is vaakya pe... kuch raha na baaki kehne ko...
Aap se nazre na mila payenge.. kuch raha nahi aapke paas ab sehne ko...

Intezaar rahega aapke ek baar fir muskurane ka... 
Hum mard poori kosish karenge aapko insaaf dilaane ka...

Aaj ye kaaynat has rahi hai hum pe..
Par ro hum bhi rahe hain..
Aisa nahi hum dard samajh nahi sakte..
Ek stri se paida hum bhi hue hain...

Maa behnon ko...
sabhi stri jaati ko...
nat mastak ho ke kshama maang rahe hain hum...
Bas ab aur kuch na keh sakenge.. hamein bhi hai utna hi gamm...

 Thanks.
P.S.: After hearing about Delhi's gang-rape case, I had nothing to write again. I was just thinking about the plight of a victim girl and what came in mind randomly has been scribbled. This is not to show my poetry skills. I just wanted to talk to women and girls of my nation so posted this. Still SHOCKED!!! :-(

 ABHILASH RUHELA- VEERU

2 CoMMenTs !!! - U CaN aLSo CoMMenT !!!:

Post a Comment